Tuesday, February 6, 2018

Ek zamaana wo bhi tha, Ek zamaana ye bhi hai

Ab to sirf yaadien hi reh gayi hai, Yaadein un lamhon ki,jo hum kabhi jia karte they, ab to bus zinda hi hain.

Chahe jitni bhi koshish kyn na kar le hum, lakh chahne ke baad bhi, wo lamhe , wo pal laut kar wapas nahi ane wale. Per shayad yehi to samay ka khel hai, jab hum they, tab samay nahi tha, aur jab samay hai, to WO hum nahi.

Ek zamana ye bhi hai ki nikal jaate hain roz,hathon mein dabba liye, zindagi ki kishto ko pura karne k liye. Ek zaman wo bhi tha, jab nikalte they ankhon mein samne aur dil mein unki ek jhalak dekhne ki umeed liye.

Ek zamaana wo bhi tha, duniya ki nahi per doston/yaaron ki har khabar rakhte they. Zindagi ke update to roz shaam, ko mil jate they. Ek zamaana ye bhi hai, Hazaraon raste hain, phir bhi doosro se to kya, hum khud se bhi anjaan ho chuke hai.

Ek zamaana wo bhi tha, jab dosto zayada aur paise kam they, phir bhi sirf khushiyan thi, na they gum. Aur ek zamana ye bhi hai, paise hai bahot per doston ka pata nahi....

Paise kamane ki daud mein jaise hum jeena hi bhul gaye, kabhi purane gane suno to guzara zamanaa yaad ata hai. Yaad ata hai wo zamana,jab hum jiya karte they, jab hum befikra ho kar yaari nibhate they. Aur aaj, zindagi ki kishto ko pura karne ki daud mein, rishton aur zindagi ko kharch karte jaa rahe hain.
Wo kehte hain na, shauk to baap ke paise se pure hote they, apni kamai se to kishtein hi bhari jati hain.

Befikr ho kar jeena,apni hi mauj mein rehna ata tha hume. Zamane ne jeene ke mayne hi badal diye, shayad padai, naukri, duniya ne samajhdar bana diya ! Zindagi ke har mod per Socha tha ek din sukoon se zindagi ko gale lagaunga, per roz subah uth kar,nikal padte hain daud lagane mein, aur sham tak uss sukoon ke lamhe ki talash mein zindagi ka e kaur din beet jata hai. Aur zindagi...Zindagi ka kya, wo hai...Shayad yehi kahin...Kuch unkahi unsuni khuwahish ki peeche.

Beete hue lamho ki yaadein kuch dhundli si hai ,per kya ane wala kal saaf hai? Yehi sawal dil mein tab bhi tha,aur aaj bhi hai, aur shayad kal bhi rahega. Zindagi ki ye daud kabhi nahi rukne wali...Rukegi bhi aisi ki,phir shuru nahi hogi. 

No comments:

Post a Comment