Thursday, March 19, 2015

Dekho ye Sheher apni Hadd meni, Jaane kitne Sheher lapaite hai.

Seher Sheher per phir ayi,
Shabiyon minto mein beet gayi,

Koshish badi , neend ne ki
Per Palke usse jeet gayi,
Pal Bhar bhi soya na tha,
Per dekho kaise jaga Sheher,

Sadko, galiyo, galiyaron mein,
din bunne phir laga sheher,

Kabhi na rukne wali dhadkan ka,
Faila phir shor yehan,
tal thirakte kadmo ka,
phir se goonja Shor Yehan,

dekho kitne khwab yehan,
khud se har shaqs lapete hai,
dekho sheher god mein apni
kitne sheher samete hai,

hai Taseer samunder ki hi to,
iss sheher ne apnai ,
tabhi to hado mein jeene ki,
fitrat hai isne payi,


subah sham lehro ki tarah,
Kone loog badalte hain,
jo aye, ghul jay isme,
sabhi isi mein dhalte hain,

Lagan yehan per sasti hai,
umeend muft mein butati hai
aur hosle ki dhun,
nahi kabhi hontoo se hutati hai

apne armaano ko har shaqs yehan lapete hai,
dekho sheher, good mein apni,
kitne sheher samete hai,

din bhar ki apa dhapi hi,
wajah Jashn ki hoti hai,
raat aye tiyohar liye,
jab saari duniya soti hai,

kaise auro ko batlayein
Sheher humara kaisa hai,
kin labzon mein samjhayen,
ye aisa hai , ye waise hai,

Akar khud dekho to shayad,
thoda isko jaan sako,
Akar iske ho jao,
tabhi shayad pehchan sako.

Zindadili yeahan kaise
khud se har shaqs lapate hai
dekho sheher had mein ,
kitne sheher lapete hai,